Sunday, 3 January 2016

Dil mehv e intezaar, december kay baad bhi


khud say nhi faraar, december kay baad bhi
na moat, na qaraar, december kay baad bhi

naizon pay ab kay aisay charhay adh khilay gulaab
zakhmon pay hai bahaar, december kay baad bhi

abdi faqeer kar gaee, taqdeer ki lakeer
daaman hai taar taar december kay baad bhi

yakh'basta muthi men liye,wehshat kay zard phool
dil mehv e intezaar, december kay baad bhi

ik be'wafa chiraagh nay, rakha andheray men
kirchi hai aitbaar, december kay baad bhi


khushiyon pay ab kay aisa gira, barf ka pahaar
dil tak hai zair e baar, december kay baad bhi

sayaad kay mufaad men, kutray ga apnay par
zindaan pasand yaar, december kay baad bhi

yaaraan e be'gunah,shab e gham ki dhoop men
girtay hain baar baar, december kay baad bhi

hasrat say choomtay rahay, be'bas tareen khawab
tabeer ka mazaar, december kay baad bhi

mein to sakoon kay liye roya tha khul kay Qais
ander he tha ghubaar, december kay baad bhi


Wednesday, 30 December 2015

Waada kar kay janay walay



Waada kar kay janay walay
December phir say aa gaya hai

Teray aanay ki ab tak
Dil ko meray umeed nhi hai

Chaahay aag lagay December ko phir
Jis men teri deed nhi hai

Bethi hai dil men aag lagaaye
Khawahish ik shaam bitanay ki

Gulab say khushbu chraanay ki
Jo aankhen tumhari kehti hain

Woh kahani phir duhranay ki
Kuch shair jo tum pay likhay hain

Saamnay teray suna'nay ki
Jo paao kisi shaam usay tum

Dena mera paighaam usay tum
teray waaday pay jeenay wala

Marnay phir say aa gaya hai
Waada kar kay janay walay
December phir say aa gaya hai

Muhabbat kay dareechon men December thehar jaata hai




Ghalat fehmi ki barfeeli hawaayen jab chalti hain

Muhabbat kay dareechon men December thehar jaata hai

Aao Keh December Ko Rukhsat Karen



Aao Keh December Ko Rukhsat Karen
Kuch Khushiyon Ko Sanbhaal Kar,

Kuch Aansuon Ko Taal Kar,
Jo Lamhay Guzray Chaahaton men,

Jo Pall Beetay Rafaqaton Men,
Kabhi Waqt Kay Sath Chaltay Chaltay,

Jo Thak Kay Rukay Raston Men,
Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili,

Kabhi Bichray Huon Ki Deed Mili,
Kabhi Be’panah MuskuRa Diye,

Kabhi Hanstay Hanstat Ro Diye,
In Saaray Lamhon Ko Mukhtasir Karen,

Aao keh DECEMBER Ko Ruksat Karen

Mujhay tum yaad aatay ho




Kisi soorat guzar jaatay hain


Maah o saal roz o shab


Magar aaye December to


Mujhay tum yaad aatay ho

Sunday, 20 December 2015