Sunday, 13 December 2015

Tum Nhi To December Sulagta Raha Chaand Jalta Raha






































Meri Aankhon Men Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha
Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha

Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Huay Khawab Dekhta Kiya
Koi Yaadon Men Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha

Mein Tau Yeh Jaanta Hoon Keh Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey
Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha

Raat Aaii Tau Kia Kia Tamashay Huay,Tujh Ko Maaloom Hay
Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha

Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay
Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha

Yeh December Kay Jis Keh Jis Ki Karri Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagay
Tum NahinTau December Sulagta Raha,Chand Jalta Raha

Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hui Hay Wasi 
Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha

No comments:

Post a Comment