Surmayii shaamon men bikhri..
mal'jagay dhundalkon men lipti..
tumhari kayii yaaden,
december kay saath phir laut aai hain..
yeh sard mausom !
tumharay waadon aur iraadon ki tarha,
labon par ek jamad chup lite,
khushk patton ki terha,
meri dehleez par bikhar gaya hai..
aur jaanay kyun ?
iski sarsarahat say,
jab bhi ek manoos si aahat ubharti hai,
yeh mehsoos hota hai..
tum saaray waaday eefa karnay,
saaray bhoolay ehad nibhanay,
phir laut aao gay …!!
No comments:
Post a Comment