Saturday, 12 December 2015

phir december men khuli,guzray december ki kitaab



phir december men khuli,guzray december ki kitaab

dil k aangan men khila phir teray chehray ka gulab

thay jaisay phool say sandal say mehektay huay haath

paish kartay huye coffee wo khanaktay huay haath

mujh ko chhoonay ki tamanna men jhijhaktay huay haath

aur haathon men simat'ta hua wo sara hijaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

thathar'tay huay wo lab hain na un ka ghaaza

kitni sardee hai yah kiss tarah say ho andaazaa

band hota hua aahista say ek darwaazaa

keh raha hai abhi utha hai sarhanay say wo khwaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

yaad jab aaye wo lub jaag utha sara badan

khushk maiwon ki lehak say chamak utha yeh dehan

khajl-e-shab me wo simti hui sardi ki dulhan

barf men lipta ho jis tarah say sholay ka shabaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

garam saanson k siwa sard sa sara kamra

teray chehray k siwa dard sa sara kamra

ab to hai dil ki tarah dard sa sara kamra

ab to aik pyaas hai aur door talak aik saraab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

yeh khizan aur yeh girtay huay patton ka shor

jism shal karti hui khushk hawaaon ka yeh zor

mujh ko khenchay liye jati hain ghataayen teri aour

to wahaan hai, yahaan main, haaey yeh doori ka azaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

tum gaye jab say wahin tham gayi sardi ki yeh raat

jaisay honton pay he reh jaaye adhoori koi baat

jaisay haathon men aa kar koi nikal jayae woh haath

jaisay dekhay koi raaton ko adhoora koi khwaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

dhoop ki naram chamakti jaarron ki wo subh

oat say jhaanktay shafaaf pahaaron ki wo subh

adh khilay nain dareechon ki dararon ki wo subh

nikhra nikhra sa teri tarah wo din ka shabaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

roz aankhon men guzarti hai teray baad yeh raat

mujh say kaatay nahi kat'ti teray baad yeh raat

munh lapaitay pari rehti hai teray baad yeh raat

raat ek baar khila phir say teri yaad ka baab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

wo teray saath december ki guzaari hui shaam

tezz khanjar ki tarah dil men utari hui shaam

laut k aaii nahi phir wo pukaari hui shaam

phir nahi dekha koi jaagti aankhon kabhi khwaab

phir december men khuli,guzray december ki kitaab

phir december hai ussi tarah say tanha hai koi

adh khula dar hai ussi tarah say tanha hai koi

phir wohi ghar hai ussi tarah say tanha hai koi

phir wohi hijr wohi hai shab-e-hijran ka azaab

PHIR DECEMBER MEN KHULI, 

GUZRAY DECEMBER KI KITAAB

DIL K ANGAN MAIN KHILA PHIR 

TERAY CHEHRAY KA GULAAB..

No comments:

Post a Comment