Aah december loat aaya hai
Yakh basta thhithharti hui taaweel raaten
Yaado'N ka aanchal oarh kaR
Meray dil kay taaqchon meN
Aashaao'n kay deep jalaati hain
Meray mann men bajti ghantiyon nay
Barff ki chaadar oarhi hai
Roo'pehlay say khwaabon per
Kohar ka parda chhaaya hai
Hijar ki lambi raato'n may
Chhatt par tanha tehaltay huay
Shawl ka kona dhalak gaya hai
Balcony kay hairaan chaand par
Meray aansuo'n ka saaya hai
Aah december loat aaya hai
No comments:
Post a Comment