khud say nhi faraar, december kay baad bhi
na moat, na qaraar, december kay baad bhi
naizon pay ab kay aisay charhay adh khilay gulaab
zakhmon pay hai bahaar, december kay baad bhi
abdi faqeer kar gaee, taqdeer ki lakeer
daaman hai taar taar december kay baad bhi
yakh'basta muthi men liye,wehshat kay zard phool
dil mehv e intezaar, december kay baad bhi
ik be'wafa chiraagh nay, rakha andheray men
kirchi hai aitbaar, december kay baad bhi
khushiyon pay ab kay aisa gira, barf ka pahaar
dil tak hai zair e baar, december kay baad bhi
sayaad kay mufaad men, kutray ga apnay par
zindaan pasand yaar, december kay baad bhi
yaaraan e be'gunah,shab e gham ki dhoop men
girtay hain baar baar, december kay baad bhi
hasrat say choomtay rahay, be'bas tareen khawab
tabeer ka mazaar, december kay baad bhi
mein to sakoon kay liye roya tha khul kay Qais
ander he tha ghubaar, december kay baad bhi

No comments:
Post a Comment