Waada kar kay janay walay
December phir say aa gaya hai
Teray aanay ki ab tak
Dil ko meray umeed nhi hai
Chaahay aag lagay December ko phir
Jis men teri deed nhi hai
Bethi hai dil men aag lagaaye
Khawahish ik shaam bitanay ki
Gulab say khushbu chraanay ki
Jo aankhen tumhari kehti hain
Woh kahani phir duhranay ki
Kuch shair jo tum pay likhay hain
Saamnay teray suna'nay ki
Jo paao kisi shaam usay tum
Dena mera paighaam usay tum
teray waaday pay jeenay wala
Marnay phir say aa gaya hai
Waada kar kay janay walay
December phir say aa gaya hai
Ghalat fehmi ki barfeeli hawaayen jab chalti hain
Muhabbat kay dareechon men December thehar jaata hai
Aao Keh December Ko Rukhsat Karen
Kuch Khushiyon Ko Sanbhaal Kar,
Kuch Aansuon Ko Taal Kar,
Jo Lamhay Guzray Chaahaton men,
Jo Pall Beetay Rafaqaton Men,
Kabhi Waqt Kay Sath Chaltay Chaltay,
Jo Thak Kay Rukay Raston Men,
Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili,
Kabhi Bichray Huon Ki Deed Mili,
Kabhi Be’panah MuskuRa Diye,
Kabhi Hanstay Hanstat Ro Diye,
In Saaray Lamhon Ko Mukhtasir Karen,
Aao keh DECEMBER Ko Ruksat Karen
Kisi soorat guzar jaatay hain
Maah o saal roz o shab
Magar aaye December to
Mujhay tum yaad aatay ho
December
Jab bhi aata hai
Tera gham aansu bann kar
Meri aankhon say
Behta hai
Suno jaanaan! Kaya dosh doon December ko
Jab hijr men teray jalna muqaddar thehra
December phir udaas hai
Ajnabi si raahon men
door tak Nigaahon men
be-rukhi ka mausam hai
Aaj phir nigaahon ko,
beetay pal ki pyaas hai
Phir raha huun dar-ba-dar
mojzey ki aas hai
Aisa lagta hai jaisay
December phir udaas hai
Baat to karay koi,
Saath to chalay koi,
Khaamoshi ka pehra hai,
Zakhm dil ka gehra hai,
Kisi bohat apnay ki,
Ab mujhay talaash hai
Aisa lagta hai jaisay
December phir udaas hai …!
Dil ko reh reh kay yeh andeshay daraanay lag jaayen,
Waapsi men ussay mumkin hai zamaanay lag jaayen,
So nahin paayen to sonay ki duaayen maangen,
Neend aanay lagay to khud ko jagaanay lag jaayen,
Uss ko dhoonden usay ik baat bataanay kay liye,
Jab woh mil jaaye to woh baat chupaanay lag jaayen,
Har december issi vehshat men guzaara keh kahin,
Phir say aankhon men teray khawab na aanay lag jayen,
Itni taakheer say mat mil keh hamen sabr aa jaaye,
Aur phir hum bhi nazar tujh say churaanay lag jaayen,
Jeet jaayen gi hawaayen yeh khabar hotay huye,
Tez aandhi men chiraaghon ko jalaanay lag jaayen
Tum meray shehar men aaye to mujhay Aida laga,
Joon tahi daamnon kay haath khazanay lag jaayen..
Her December isi vehshat men guzaara keh kahin
Phir say aankhon men teray khawab na aanay lag jaayen
Surmayii shaamon men bikhri..
mal'jagay dhundalkon men lipti..
tumhari kayii yaaden,
december kay saath phir laut aai hain..
yeh sard mausom !
tumharay waadon aur iraadon ki tarha,
labon par ek jamad chup lite,
khushk patton ki terha,
meri dehleez par bikhar gaya hai..
aur jaanay kyun ?
iski sarsarahat say,
jab bhi ek manoos si aahat ubharti hai,
yeh mehsoos hota hai..
tum saaray waaday eefa karnay,
saaray bhoolay ehad nibhanay,
phir laut aao gay …!!
Kuch teri yaad men bhi shiddat hai
Aur kuch bheegta December hai
Aur mausom bhala mein kaya dekhoon
Mujh pay thehra hua December hai
December ki sard raaton men ik aatishdaan kay paas
Ghanton tanha bethna,bujhtay sharaaray dekhna
Jab kabhi fursat milay to gosha e tabhai men
Yaad e maazi kay puranay goshwaray dekhna
Pattay jab zard ho jaayen gay
Kuch armaan bhi sard ho jaayen gay
Teri yaad,tanhaaii,khamoshi aur behtay aansu
Pehli subha december ki kaya kaya ohfay laaii hai
Ajeeb larki thi
Us ko raas aata tha
Sardiyon kay mausom men
Khirkiyan khuli rakhna
Mujhay in shakhs acha lagta hai
Air usay December
Kash mein december hota!
Suno sahib! in dinon hum say raabta bahaal rakhna
Suna hai aksar loag december men bichhar jatay hain
December ki haseen shaamen
Zameen par jab
Utarti hain
Meray kamray men teray iqraar rotay hain
December jab bhi aata hai
Tu hum ko yaad aata hai
Abhi tak tum nhi loatay
December loat aaya hai
Sabab na pooch meray aansuon ka
Hai pehlay hijr ka pehla December
Waqt hai jhonka hawa ka aur hum peelay pattay faqt
Kon janay aglay December tum kahan aur hum kahan
Kahin jaaye usay meri duaayen yaad karti hain
Usay kehna usay meri wafaayen yaad karri hain
Usay kehna khizaayen aa gaee hain ab to loat aaye
Usay kehna December ki hawaayen yaad karti hain
December ab bhi tera muntazir hai
Lambay safar ki oat men pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareb men aa kar nahin ruka
Phir aa gaya aik naya sal dosto
Is bar bhi kisi say december nahin ruka
Lay kar kisi nay haath men kashkol-e-waqt
Aisa safar kiya keh kahin par nahin ruka
Manzar kay aks men koi chehra chatakh gaya
Sheeshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safain rondta huwa
Laakhon ka khoon-e-jigar kar k bhi lashkar nahin ruka
Bas yeh huwa keh Aakhri lamha bhi aa gaya
Dil ka tawaaf e koocha-e-dilbar nahin ruka
Suno!
December Ki Thitharti Hui Shaamen
Kohar Men Lipti Dhundali Si Sub'hen
Darakhton Sey Girtey Huay
Khushk Zard Pattey
Woh Gaaon K Tamaam Rastey
Mohabbaton K Tamam Rishtey
Khayaal Abaad Kartey Hain
Tumhen Sab yaad Kartey Hain...
Tumhari aas kay gamlon men rakhay phool murjhaanay lagay hain
Judaaii dhoop lagti hai bohat hi taiz chubhti si
December June lagta hai
Kisi kay naam ki ghanti bajay mujh ko tumhara phone lagta hai
Tumharay laut aanay tak na janay kis qadar lambi udaasi
Aankh kay bistar men chhuup kay raat likhay gi
Abhi to phir bhi baqi hai koi sapna
Tumharay lams kay zinda warq per
Tumhari khushbu'ain zinda hain
Phooloon kay badan men
Magar aisa na ho keh khushbu'ain be-chehargi pehnain
Kaheen aisa na ho keh phool jall jaayen
Kisi sapnay kay bhujhtay he
Tumhara lams mar jaaye
Gulabon kay badan men zangg lag jaaye
Kaheen aisa na ho Janaan !
Ana ki surkh tehni par koi talwaar ugg aaye
Tumharay aur meray darmiyan deewar ugg aaye
Kahin aisa na ho keh soch ki khirki men koi weham aa bethay
Mein is takmeel kay aadhay safar men he na mar jaauun
Mausom jo adhoora hai, adhoora hi na reh jaye
Abhi to aankh ki mash'al mujhay rasta dikhati hai
Abhi to aaina chehra dikhata hai
Janaan yeh rasta pairr kay neechay
Abhi to aas likhta hai
Abhi hai waqt mutthi men
Agarchay rait ki maanind phisalta ja raha hai par
Tumahray laut aanay tak sambhaluun ga koi lamha
Yeh saara waqt girnay say
Meray hathoon say behnay say
Zara aik lamha pehlay tak
Agar tum laut aao to
Agar tum laut aoo to meri takmeel ho jaaye ..
December kyun nhi dikhta
Kisi ki aankh men dekho
Zamanay bhar ki khunki hai
Kahin be'rok barish hai
Agar nazron men taaqat hai
December dikh he jaaye ga
Muhabbat ki jo chahat hai
December dikh he jaaye ga
Mujhay to saal bhar her jaa
December sa he dikhta hai
Sard raaton ki bheegi tanhaaii
Barasti boondon kay chhuutay he sulagta sa badan
Beeti yaadon beetay lamhon men sulagta hua dil
Yuun guzray saal kay saaray dukh aur saaray gham
Akela December seh laita hai
December Mujh Say Bola Tha
Ab Kay Jab Main Aauun Ga
Tujhay Phir Say Pukaroon Ga
Usay Main Sath Laauun Ga
Jo Tujh Ko Bhool Baitha Hay
Keh Jis Kay Hijr Ka Laawa
Tera Tan Man Jalata Hay
Keh Jis Ki Yaad Ki JheeloN Men
Aksar Doob Jatay Ho
Keh Jis Kay Waastay Bethay
Yaahan Tum Geet Gaatay Ho!
December Mujh Say Bola Tha
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Yaaden Us Nay Sonpi Hain
Jo Lamhay Us Nay Bakhshay Hain
Chaahay Yeh Zakhm Saaray
Rooh Ka Naasoor Ban Jaayen
Inhen Bharnay Nahi Dena
Inhen Marnay Nahi Dena
December ki udaas raaton men,
Yehi hai mashghala apna…
Laga kay taik takiye say
Usay
Bas sochtay rehna…
December ki Aik Sard See Sham
Taiz Hawa Or Girtay Pattay
Door Tak Veeran sa Rasta
Yaad Tumhari
Aur
Mein Tanha
Phir Yaddon Ka Sawan Barsa
Abhi Pichlay December Ki To Baat hai
Rasta To Veeran Hee THa
Par Sang Tumhara Pyar Jo Tha
Kuch Baatain Theen
Kuch Waaday Thay
Kuch Anjanay Say Naatay Thay
Phir Jhonka Taiz Hawa Ka Aaya
Yadoon Say Baahir Nikaal Laaya
Aankhain Kholiin To Kaya Daikha
Door Tak Veeran Sa Rasta
Yaad Tumhari
Aur
Mein Tanha
Be'qaraar Mosam Men Yaad K Jharokon Say,
Phir Tumhi Say Milnay Ki,
Dil Men Kitni Khwahish Hai,
Aaj Kal December Ki Phir Udaas Shaamen Hain,
In Ujaar Aankhon Men
Zard Zard Raatain Hain,
Is Tarah Kay Mosam Men
Toot Phoot Jata Hoon,
Jab Bhi Yaad Aatay Ho
Khud Ko Bhool Jata Hoon.
Meri Aankhon Men Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha
Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha
Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Huay Khawab Dekhta Kiya
Koi Yaadon Men Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha
Mein Tau Yeh Jaanta Hoon Keh Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey
Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha
Raat Aaii Tau Kia Kia Tamashay Huay,Tujh Ko Maaloom Hay
Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha
Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay
Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha
Yeh December Kay Jis Keh Jis Ki Karri Dhoop Bhi Meethi Lagnay Lagay
Tum NahinTau December Sulagta Raha,Chand Jalta Raha
Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hui Hay Wasi
Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha
December beet raha hai
Khizaan kay zard patton ka woh manzar yaad karta hai
Usay kehna usay ab bhi December yaad karta hai
Woh kab bichra nahin ab yaad lekin
Bas itna yaad hai keh tha December
Dukh dard ki soghaat liye
December phir say aa gaya
Jaanaan!
Apni aik laghzish say
Mein nay kho diya us ko
An bhi her December men
Uski yaad aati hai
Usay kehna
December ki sard aur taareek
Raaton men us ki yaad aik azziyat hai
Ya apna naqsh mita jaaye
Ya mera ho jaaye