Tumhari aas kay gamlon men rakhay phool murjhaanay lagay hain
Judaaii dhoop lagti hai bohat hi taiz chubhti si
December June lagta hai
Kisi kay naam ki ghanti bajay mujh ko tumhara phone lagta hai
Tumharay laut aanay tak na janay kis qadar lambi udaasi
Aankh kay bistar men chhuup kay raat likhay gi
Abhi to phir bhi baqi hai koi sapna
Tumharay lams kay zinda warq per
Tumhari khushbu'ain zinda hain
Phooloon kay badan men
Magar aisa na ho keh khushbu'ain be-chehargi pehnain
Kaheen aisa na ho keh phool jall jaayen
Kisi sapnay kay bhujhtay he
Tumhara lams mar jaaye
Gulabon kay badan men zangg lag jaaye
Kaheen aisa na ho Janaan !
Ana ki surkh tehni par koi talwaar ugg aaye
Tumharay aur meray darmiyan deewar ugg aaye
Kahin aisa na ho keh soch ki khirki men koi weham aa bethay
Mein is takmeel kay aadhay safar men he na mar jaauun
Mausom jo adhoora hai, adhoora hi na reh jaye
Abhi to aankh ki mash'al mujhay rasta dikhati hai
Abhi to aaina chehra dikhata hai
Janaan yeh rasta pairr kay neechay
Abhi to aas likhta hai
Abhi hai waqt mutthi men
Agarchay rait ki maanind phisalta ja raha hai par
Tumahray laut aanay tak sambhaluun ga koi lamha
Yeh saara waqt girnay say
Meray hathoon say behnay say
Zara aik lamha pehlay tak
Agar tum laut aao to
Agar tum laut aoo to meri takmeel ho jaaye ..
No comments:
Post a Comment